Zindagii Kii Raunaq Ko Yuu N Sajaanaa Pa Dataa Hai
Khursheed Omer
zindagii kii raunaq ko yuu.N sajaanaa pa.Dataa hai
dard sahanaa pa.Dataa hai Gam chhupaanaa pa.Dataa hai

dil kii har tamannaa ko umr bhar ke armaa.N ko
masalehat ke chauKhaT par bhuul jaanaa pa.Dataa hai

jo havaa se bikhare.nge us gulo.n ko dekho to
har sabaa ke jho.nke pe jhuul jaanaa pa.Dataa hai

kis liye tumhe.n ’Khursheed’ justajuu-e-tuufaa.N hai
ishq me.n to saahil pe Duub jaanaa pa.Dataa hai
Post By mmhaqco 2 Years Ago Hits: 149

Login Form






Today's Poll

How do you rate this Web Site KoolPassion.com!
Perfect
Great
Good
Very Bad
Bad