| Mujh Ko Shikast-e-dil Kaa Mazaa Yaad Aa Gayaa Khumar Barabankvi |
|
| mujh ko shikast-e-dil kaa mazaa yaad aa gayaa tum kyo.n udaas ho kyaa yaad aa gayaa kahane ko zindagii thii bahut muKhtasar magar kuchh yuu.N basar huii ke Khudaa yaad aa gayaa vaa_iz salaam le ke chalaa maikade ko mai.n firdaus-e-gum_shudaa kaa pataa yaad aa gaya barase baGair hii jo ghaTaa ghir ke khul ga_ii ek bevafaa kaa ahd-e-vafaa yaad aa gayaa maa.Nge.nge ab duaa ke use bhuul jaaye.n ham lekin jo vo bevaqt-e-duaa yaad aa gayaa hairat hai tum ko dekh ke masjid me.n ai ’Khumar’ kyaa baat ho ga_ii jo Khudaa yaad aa gayaa |
|
| Post By mmhaqco 2 Years Ago Hits: 275 |



