| Haq Vafaa Kaa Jo Ham Jataane Lage Hali, Altaf Husain |
|
| haq vafaa kaa jo ham jataane lage aap kuchh kahake muskuraane lage ham ko jiinaa pa.Degaa furqat me.n vo agar himmat aazamaane lage Dar hai merii zubaa.N na khul jaaye ab vo baate.n bahut banaane lage jaan bachatii nazar nahii.n aatii Gair ulfat bahut jataane lage tum ko karanaa pa.Degaa uzr-e-jafaa ham agar dard-e-dil sunaane lage bahut mushkil hai shevaa-e-tasliim ham bhii aaKhir ko jii churaane lage vaqt-e-ruKhsat thaa saKht "Hali" par ham bhii baiThe the jab vo jaane lage |
|
| Post By mmhaqco 2 Years Ago Hits: 129 |



