| Dukh Fasaanaa Nahii N Ke Tujh Se Kahe N Ahmed Faraz |
|
| dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n dil bhii maanaa nahii.n ke tujh se kahe.n aaj tak apanii bekalii kaa sabab Khud bhii jaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n ek tuu harf_aashnaa thaa magar ab zamaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n be-tarah dil hai aur tujh se dostaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost aab-o-daanaa nahii.n ke tujh se kahe.n |
|
| Post By mmhaqco 2 Years Ago Hits: 154 |


