| Bas Ik Shab Kay Liy Wasal-e-yaar Main Rehna Noshi gilani |
|
| Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna |
|
| Post By mmhaqco 2 Years Ago Hits: 819 |


